Behad khush hoon mai aaj ye jaankar,
Ki tum itni khush to ho.
Bhale hi is dil me teri yaadein basi hai,
Par bhul kar mujhe tum khush to ho..
Kya hua jo mai tadpa har pal teri judai me,
Magar jaake mujhse dur tum khush to ho..
Pata nahi kab ghum diya maine tumhe,
Par chhod mujhe tum har ghum se dur to ho..
Bandish tum par lagai hi kab maine,
Phir bhi aazaad hokar tum khush to ho..
In saanso me teri khushbu hai to kya,
Apni zindagi se mera naam mita tum khush to ho..
Taklif meri nahi rakhti koi mayne,
Kyunki zindagi me apni tum khush to ho..
Zindagi bhari hai ghamo se phir bhi khush hu mai,
Ya jankar ki tum khush to ho..
Total Pageviews
Friday, October 29, 2010
Searching Myself
Dhund raha hoon wajood apna,
Kya hua jo tuta har sapna.
Ab sabki batayi baatein lagti hain bemani,
Chahe jo ho ab banaunga rasta apna..
Har tarah ki bandish se aazaad hun mai,
Lagta hun shor par sachchi aawaaz hun mai.
Haan hun mai aaj is bhid ka hissa,
magar jo ahi sabse juda, wo andaaz hun mai..
Seene ka jwalamukhi phatne ko hai,
Bandha hun jinme, wo zanjiro ka pulinda katne wala hai.
Aaj tak jinke naam par roka hai mujhe,
Aaj har wo bandhan hatne ko hai..
Aaj mar ke mai kuchh aur ban raha hunb,
Ek patthar ban is duniya me tan raha hoon.
Bhul jao ki mai kabhi sachcha bhi tha,
Kya fayda uska, pehle bhi dil ye jalta hi tha...

Thursday, October 28, 2010
heart opened up
Aakhir wahi hua jiska mujhe darr tha,
Jise samajh baitha tha apna,
Wo to kisi aur ka ghar tha..
Chal diye tum is patthar dil ko tod ke,
Aur is jaanwar ke pyar se muh mod ke..
Mera bachchon sa pagalpan,
to tumhare liye mazaa bani.
Khud se zyada pyar pe bharosa kiya,
Ye fitrat hi meri sazaa bani..
Sach kahoon to jeene ki chah mar rahi hai,
Aur pehli baar is pathhar dil ki aankh bhar rahi hai.
Tumhe paane ki is dil me koi chah bhi nahi hai,
Akelapan diya hai tumne mujhe,
Chalo ab ye bhi sahi hai..
Hamesha ki tarah teri khushi hi meri chahat hai,
Par jaane kyun har awaaz lagti teri hi aahat hai..
Tum to mere saaz se aawaz le gayin,
Aur mujhe is gham ka ehsaas de gayin..
Yahi hai aarzoo ki tu sada khush rahe,
Par ae khuda; yahi hai dua,
Hua jo mere sath, koi dushman ke saath na kare..
Ab tumhe jhuth lagta hoga mera kehna,
Ki tumhare bina ji nahi paunga,
Zinda to hai jism ye mera,
Tanha rahunga ta-umra aur duniya se akela hi jaunga..
Yun to aaj tumhe chhod,
Sab mere karib hain.
Par bheed me hai akelapan,
Shayad yahi mera naseeb hai..
Ek guzrish hai tumse ki,
Bhul kar bhi mujhe tum yaad na karna,
Mere marne par jannat nasib ho mujhe,
Ye bhi upar wale se fariyaad na karna..
Ho sake to dua karna ki,
Registaan me phool khil jaye,
Aur tera ye aashiq,
tujhe marne se pehle kaash bhool jaye...

Unspoken..
Kaash koi is dil ki gehrai samajh pata,
Kabhi to koi mujhe puri tarah samajh pata.
Hamesha hasna namumkin hai mere liye,
Koi to is sach ko maan pata..
Sada haste rehna meri khata ban gayi,
Mera mazaak bakiyon ke gham ki daa ban gayi.
Aaj mujhe chup nahi dekh sakta koi,
Lo meri taklif bhi sabka mazaa ban gayi..
Jitna bhi chahoon sabko khush nahi kar pata hoon,
Dil me dard chhupaye haste muskurate thak jata hoon.
Kuchh pal ke liye koi kuchh na chahe mujhese,
Dil karta hai mai kahin dur bhag jaata hoon..
Kyun mujhe dukhi dekh koi ye nahi kehta,
ki mai tumhe yun hi apnaata hoon.
Shayad banavati logon ki hi duniya hai,
Hamesha yahi apne dil ko samjhata hoon..
Phir bhi sabke liye mai yun hi hasta rahunga,
Gham ka zeher jaam samajh ke pita rahunga.
Iss ummeed ke sath koi to mujhe samajh sakega,
Mai sabko khush karte hue jeeta rahunga..

Wednesday, October 27, 2010
Maa..
Samajh Nahi aata aagaz kahan se karun,
tumhare ehsaano ki daastan bayan kaise karun,
Yun to aisia kabhi kaha nahi tumhe,
Aaj saari zindagi ka shukriya kaise karun..
Log to zindagi ke karzdaar hote hain,
Khule aakash ke niche bina chhat ke sote hain.
Hume to sada hi mila tumhara aanchal
Jiski chhaon me hum apne khwab sanjote hain..
Alfaaz nahi milte tumhe ye kehne ko,
Jaise rokte nahi parvat nadi ke behne ko
Ji sakti thi zindagi apni befikri se,
Ek ma ke dil ne kaha tumhe sab sehne ko..
Nahi bata sakunga tumhari ehmiyat kahan tak hai,
Nahi janta koi zameen ki taqat kahan tak hai.
kaun jane sagar gehra kahan tak hai,
Aur maa ki ehmiyat puchhna jaayaz kahan tak hai...
LUV U MOM

Subscribe to:
Posts (Atom)