Total Pageviews

Wednesday, October 27, 2010

Maa..

Samajh Nahi aata aagaz kahan se karun,
tumhare ehsaano ki daastan bayan kaise karun,
Yun to aisia kabhi kaha nahi tumhe,
Aaj saari zindagi ka shukriya kaise karun..
Log to zindagi ke karzdaar hote hain,
Khule aakash ke niche bina chhat ke sote hain.
Hume to sada hi mila tumhara aanchal
Jiski chhaon me hum apne khwab sanjote hain..
Alfaaz nahi milte tumhe ye kehne ko,
Jaise rokte nahi parvat nadi ke behne ko
Ji sakti thi zindagi apni befikri se,
Ek ma ke dil ne kaha tumhe sab sehne ko..
Nahi bata sakunga tumhari ehmiyat kahan tak hai,
Nahi janta koi zameen ki taqat kahan tak hai.
kaun jane sagar gehra kahan tak hai,
Aur maa ki ehmiyat puchhna jaayaz kahan tak hai...

LUV U MOM

3 comments:

  1. Abhinav, you're welcome to the world of blogging..!! You write exceptionally nice. Plz keep it up. Hope to see your talent flourishing.
    * An advice not an obligation, for Hindi poems try to type in Hindi fonts, I think that'll look cool.

    ReplyDelete