Total Pageviews

Friday, October 29, 2010

Searching Myself

Dhund raha hoon wajood apna,
Kya hua jo tuta har sapna.
Ab sabki batayi baatein lagti hain bemani,
Chahe jo ho ab banaunga rasta apna..

Har tarah ki bandish se aazaad hun mai,
Lagta hun shor par sachchi aawaaz hun mai.
Haan hun mai aaj is bhid ka hissa,
magar jo ahi sabse juda, wo andaaz hun mai..

Seene ka jwalamukhi phatne ko hai,
Bandha hun jinme, wo zanjiro ka pulinda katne wala hai.
Aaj tak jinke naam par roka hai mujhe,
Aaj har wo bandhan hatne ko hai..

Aaj mar ke mai kuchh aur ban raha hunb,
Ek patthar ban is duniya me tan raha hoon.
Bhul jao ki mai kabhi sachcha bhi tha,
Kya fayda uska, pehle bhi dil ye jalta hi tha...

No comments:

Post a Comment