Aakhir wahi hua jiska mujhe darr tha,
Jise samajh baitha tha apna,
Wo to kisi aur ka ghar tha..
Chal diye tum is patthar dil ko tod ke,
Aur is jaanwar ke pyar se muh mod ke..
Mera bachchon sa pagalpan,
to tumhare liye mazaa bani.
Khud se zyada pyar pe bharosa kiya,
Ye fitrat hi meri sazaa bani..
Sach kahoon to jeene ki chah mar rahi hai,
Aur pehli baar is pathhar dil ki aankh bhar rahi hai.
Tumhe paane ki is dil me koi chah bhi nahi hai,
Akelapan diya hai tumne mujhe,
Chalo ab ye bhi sahi hai..
Hamesha ki tarah teri khushi hi meri chahat hai,
Par jaane kyun har awaaz lagti teri hi aahat hai..
Tum to mere saaz se aawaz le gayin,
Aur mujhe is gham ka ehsaas de gayin..
Yahi hai aarzoo ki tu sada khush rahe,
Par ae khuda; yahi hai dua,
Hua jo mere sath, koi dushman ke saath na kare..
Ab tumhe jhuth lagta hoga mera kehna,
Ki tumhare bina ji nahi paunga,
Zinda to hai jism ye mera,
Tanha rahunga ta-umra aur duniya se akela hi jaunga..
Yun to aaj tumhe chhod,
Sab mere karib hain.
Par bheed me hai akelapan,
Shayad yahi mera naseeb hai..
Ek guzrish hai tumse ki,
Bhul kar bhi mujhe tum yaad na karna,
Mere marne par jannat nasib ho mujhe,
Ye bhi upar wale se fariyaad na karna..
Ho sake to dua karna ki,
Registaan me phool khil jaye,
Aur tera ye aashiq,
tujhe marne se pehle kaash bhool jaye...
No comments:
Post a Comment